Kayi dino se man me ek abhilasha hunkaare bhar rahi thi aur prabhu ki kripa se is warsh yah manokaamna bhi poorna ho gayi. Darasal, jab se main college me Pavan ke sampark me aaya aur usne mere naam ko lekar kaseede kasne shuru kiye, tabhi se meri iksha thi ki main apne naam ke bhawaarth ke antahkaran tak jaoon. Aur jaisa ki maine kaha, is warsh harikirtan me ye awasar bhi mil hi gaya. Chaubees ghante ka akhand kirtan sampann ho chuka tha aur bhandaare ke baad ki madhur aur tript bela (ya yun kahein ki tript udar) thi jab saara pariwaar gapp-sarhaake ke liye baitha aur bas phir kya hona tha...kaam aayi meri abhilasha aur usse bhi zyada kaam aaya biljli vibhaag, jisne ye thaan liya tha ki bijli dena uske dharm ke khilaaf hai aur is prakaar humein gapp ka bharpoor awasar dena uska param kartavya.
Jaise hi maine apne naam ke arth ki baat cherhi, kai awaazein ek saath aani shuru ho gayi...amma, chacha, chote papa, bua...jise dekho, apni hi dhuni ramaata sa prateet hota tha. Lekin jaldi hi main wo sab kuch sun chuka tha jo mujhe pehle se hi pata tha. Jab maine kuch aur andar jaakar thehre hue paani me hulchul paida karne ka prayaas kiya, tab jaakar asliyat saaamne aayi aur maine wo kahaani suni jisne na kewal meri jigyaasa ko shaant kiya balki mere mastishk me supt ek doosri jigyaasa ko janm diya...lekin main shayad path-bhramit ho raha hoon...sab kuch parantu kramwash.
Nimai bachpan se hi shararati the. Chutpan se hi unhone aisa koi bhi awasar nahi jaane diya jab unhone kisi sanyaasi, kisi sadhu ka apamaan athwa parihaas na kiya ho. Lekin jaise jaise unhein sachchai ka gyan hua aur prabhu ki leela unke jeevan me prakaash ban kar aayi, waise waise unhone aise kaam shuru kiye jinki wajah se aaj unhe Mahaprabhu ki sangya di jaati hai. Unhone kisi ko bhi shishya nahi banaaya lekin unke kai paarshad the jinhe gosaain ki sangya di gayi. In sabhi anuyaayiyon ne gauriya sampradaay ka srijan kiya aur krishna prem ke bhaaw ka prachaar prasaar kiya. In sab paarshadon me pramukh the chah gosaain: Roop, Sanatan, Bhat, Raghunath, Jeev aur Gopal...in logo ne Chaitanya Chaitawali ki rachna ki aur Bhagwan Sri Krishna ke prem ras me sabhi ko vibhor kiya. Mahaprabhu ne in chah gosaaion ko aagya di ki wo Bhagwan Sri Krishna ki leela ko punarjeevit karein. Yah inhi gosaaiyon ki mehnat ka nateeja hai ki jo Vrindavan kabhi jangal tha, aaj itna bada dhaarmik sthal hai jahaan jaate hi aisa lagta hai maano prabhu ki baal leela aur raas leela aankhon ke samaksh sajeev ho padi ho.
Nitai ek sanyaasi the jo ki dar dar prabhu gyan ke talaash me bhatakte the. Jabse inka sampark Mahaprabhu se hua, wo unke maadhyam se prabhu ke sameep pahuch gaye. Mahaprabhu ke sabse bade bhakton me unka naam liya jaata hai...yahaan tak ki kimvandati ye bhi hai ki Nitai aur Nimai bhai the (halaanki wo kewal Guru Bhai the). Isi prakaar kai baar ye bhi kaha jaata raha hai ki jis prakaar Mahaprabhu swayam Prabhu Sri Krishna ke awataar the, usi prakaar Nitai Dau Balraam ke roop the. Mahaprabhu swayam Nitai ko bahut maante the aur jaisa ki maana jaata hai, Prabhu ke sameep pahuchne ka sabse uttam maarg unke bhaktgan hi hain...tabhi to kaha jaata hai...Nitai bole, Gaur bol, Gura bole Hari bol.
Ye sach hai ki mera naam Nitai hote hue bhi aaj tak main in sab baaton se awagat nahi tha lekin sach ye bhi hai ki ye sabhi baatein kaafi anokhi lagi mujhe aur unhone mere man mastishk me kahi soye hue Nitai ko shayad jhakjhor sa diya. Agar main ek vaakya me us din ki kahaani ka mere upar jo asar hua uski vyaakhya karne ki cheshta karoon to shayad wohi kahoonga jaisa ki chote papa ne ant me kaha...yadyapi Prabhu har roop me ek hi hain, lekin Bhaktavatsal Prabhu Sri Krishna ke bhakt Gauriya Sampradaay ki bhakti me jo ras hai, wo shayad hi kisi aur sampradaay me milta ho.